New Delhi: Bollywood cinema has witnessed several legendary stars who have ruled the silver screen over the years. But Rajesh Khanna is considered as one of the biggest stars of all times.
Top 10 Dialogues
# Babumushoi, zindagi badi honi chahiye … lambi nahin
# Jab tak zinda hoon tab tak mara nahi… Jab mar gaya sala main hi nahi
# Maut toh ek pal hai…
# Babumushoi, zindagi aur maut upar waale ke haath hai…
Usse na toh aap badal sakte hai na main…
Hum sab to rangmanch ki kathputliyan hai jinki dor upar waale ki ungliyon mein bandhi hai.
# Hum aane waale gham ko kheench taan kar aaj ki khushi pe le aate hai… aur us khushi mein zehar ghol dete hai
# Maanta hoon ki zindagi ki taqat maut se zyada bhadi hai … lekin yeh zindagi kya maut se battar nahi
# Anand mara nahi, Anand marte nahi…
# Maut tu ek kavita hai…
Mujhse ek kavita ka Vaada hai milegi mujhko…
Doobti nabzon mein jab dard ko neend aane lage…
Zard sa chehra liye chaand ufak tak pahunche…
Din abhi paani mein ho raat kinaare ke kareeb…
Na andhera, na ujala ho… Na abhi raat, na din…
Jism jab khatam ho aur rooh ko jab saans aaye…
Mujhse ek kavita ka vaada hai milegi mujhko
# Ye bhi toh nahi keh sakta… Meri umar tujhe lag jaye
# Kab, kaun, kaise uthega … Yeh koi nahin bata sakta hai