On Dr Rahat Indori's death anniversary, read his popular 'shers'
Uski yaad aai hai saanso zaraa ahista chalo,
Dhadkano se bhi ibaadat mein khalal padta hai.
Na humsafar na kisi ham-nasheen se nikalega,
Humare paanv ka kaanta hameen se nikalega.
Aankh mein paani rakho hothon pe chingaari rakho,
Zinda rehna hai to tarqeebein bahut saari rakho.
Hath khaali hain tere sheher se jaate jaate,
Jaan hoti to meri jaan lutaate jaate.
Har kisi ka khoon hai shaamil yahan ki mitti mein,
Kisi ke baap ka Hindustan thodi hai.
Maine apni khushk aankhon se lahu chhalkaa diya,
Ek samundar keh rha tha mujhko paani chahiye.
Mazaa chakhaa ke hi mana hoon main bhi duniya ko,
Samajh rahi thi ki aise hi chhod dunga use.
Uski katthai aankhon mein hai jantar-mantar sab,
Chaaku-vaaku chhuriyan-vuriyan khanjar-vanjar sab.
Main mar jau to meri ek alag pehechan likh dena,
Lahu se meri peshaani pe Hindustan likh dena.