New Delhi: Anant Chaturdashi 2020 is being observed today (September 1). Anant Chaturdasi shubh muhurat begins at 5:59 am today and ends at 09:38 am today.
On this day, Vishnu’s Ananta or eternal form is worshiped.
This Ananta form of Vishnu created Lord Brahma from a lotus that bloomed from his navel, and hence he is also hailed as Ananta Padmanabhaswamy.
Check out the lyrics of the popular Jai Jagdish Hare aarti
Om Jai Jagdish Hare
Swami Jaya Jagdish Hare
Bhakta janon ke sankat (2)
Kshan me door kar
Om Jai Jagdish Hare
Jo dhyave phal paave
Dhukh vinashe man ka
Swami dhukh vinashe man ka
Sukh sampati Ghar aave (2)
Kashht mite tan ka
Om Jai Jagdish Hare
Mata pita tum mere
Sharan padun mai kis ki
Swami sharan padun mai kis ki
Tum bina aur na dooja (2)
Aas karun mai kis ki
Om Jai Jagdish Hare
Tum puran paramatma
Tum Antaryami
Swami Tum Antaryaami
Para Brahma Parameshwara (2)
Tum sab ke Swami
Om Jai Jagdish Hare
You are the Supreme power, you know everything, you are the one who has created this Universe, you are everyone’s God. Salutations to Jagdish, the Lord of the Universe
Tum karuna ke saagar
Tum palan karta
Swami Tum palan karta
Mai sevak tum swaami (2)
Kripa karo bharta
Om Jai Jagdish Hare
Tum ho ek agochar
Sab ke pran pati
Swami sab ke prana pati
Kis vidhi milun dayamaya (2)
Tum ko mai kumati
Om Jai Jagdish Hare
Deena bandhu dukh hartaa
Tum rakshak mere
Swami tum rakshak mere
Apne hast uthao (2)
Dwar khada mai tere
Om Jai Jagdish Hare
Vishaya vikar mithao
Paap haro deva
Swami paap haro deva
Shraddha bhakti badhao (2)
Santan ki seva
Om Jai Jagdish Hare
Tan man dhan sab kuch hai tera
Swami sab kuch hai tera
Tera tujh ko arpan (2)
Kya laage mera
Om Jai Jagdish Hare
Om Jai Jagadish Hare
Swami Jai Jagadish Hare
Bhakta janon ke sankat (2)
Kshan me door kare
Om Jai Jagdish Hare